Tumhain apna banaon gi,,,,

Wo akser mjh sy kahti thi,,,,
Tumhain apna banaon gi,,,,
Mujhay tum sy mohabat hy,,,,,
Main logon ko bataon gi,,,
Wo aksr mujh sy kahti thi,,,,,
"Wafa hy zaat aurat ki" ,,,,
Mager jo mard hotay hain,,,,
Boht be-dard hotay hain,,,,
Kisi jugnu ki surat,,,,
Gull ki khushbu loot latay hain,,,,
Suno tum ko qasum meri,,,,
"Rawayat tor dena tum" ,,,
Na tanha chor k jana,,,
Mager,,,,
Phr yoon howa a Aasher,,,,
Mujhay anjan rastay per,,,,
Akela chor kr us ny,,,,,
Mera dill torr kr us ny,,,
Mohabbat chorr di us ny,,,,
"Wafa hy zat aurat ki" ,,,
Riwayat torr di us ny.....

Bas Ek Jaan Hai

Kitna Pyaar Hai Unse, Ab Woh
Yeh Jaan Le..!!
Woh Hi Hai Zindgai Meri, Yeh
Baat Maan Le..!!
Unko Dene Ko Nahin, Kuch
Paas Humare..!!
Bas Ek Jaan Hai, Jab Jee Chahe
Maang Le..!!

ada by aafi

teri har ada hamare liay ek saza hy 
teri muskan hamare liay ek nasha hy 
teri har ada py mosam badalta hy 
teri muskurahat py sawan barasta hy
phly jo to muskurai thi to bhaar aai thi 
ab k jo to khul k hansi to phool bhi khl utha hy 
tery ada k charchy ho gay itny buland k 
teri har ada dekhny ko ye dil machal ta hy

aankhain bheeg jaati hain by wasi shah

Samandar main utarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 
teri aankhoun ko parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

tumhaara naam likhney ki ijaazat chin gayi jub say 
koi bhi lafz likhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

teri yaadoun ki khushboo khirkiyoun main raqs karti hay 
teray gham main sulagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

main huns k jhail laita hoon judaayi ki sub hee rasmain 
galey jub us k lagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

najaaney hogaya hoon isqadar hassaas main kub say 
kisi say baat karta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

woh sub guzrey huay lamhaat mujh ko yaad aatey hain 
tumhaarey khut jo parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi 
qadam chaukhat pay rakhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

hur ik muflis k maathey par alam ki daastaanain hain 
koi chehra bhi parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

barey logoun k oonchey budnuma or sard mehloun ko 
ghareeb aankhoun say takta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

teray koochey say ab mera talluq waajibi sa hay 
magar jub bhi guzarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain 

hazaaroun mausamoun ki hukmraani hay meray dil par 
Wasi main jub bhi HUNSTA hoon tou aankhain bheeg jaati hain!!

shanasaai hui by wasi shah

hi wo lamha k jab tujh sey shanasaai hui
phir jo honi thi meri jaan wo ruswaai hui


apni naakaam mohabbat ka na yuon churcha karo
zakhm bhar jaey ga gar is ki pazeeraai hui


phir zamaney main kisi ney usey dekha na suna
terey darbaar main jis shakhs ki shunwaai hui



jab teri yaad ko koi b thikaana na miley
meri baanhoan main chali ati hai ghabraai hui

Meri maano, To laut aao… by wasi shah

Abhi kuch bhi nahin badla,
Darakhton par wohi mausam abi tak muskuratey hain,
Abhi tak surmeyi shamain hamarey sath roti hain,
Abhi tak mere honton per tumhare honton ki khushbu
Raqss karti hai,

Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawb hanstey hain,
Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon
ki narm pooron se likhey sab harf
zinda hain,

Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai,
Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley
sarey naqsh qayem hain,

Abhi almaariyon mein sarey tohfey gungunatey hain,
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se,
Tumhari baat kartey hain,

Bohat se saal guzrey hain,
Bohat se waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Abhi kuch bhi nahin badla,

Agar chaho,
Agar samjho,
Meri maano,
To laut aao…

tera husan to ab bhi pagal ker daita hai

hijer ka naag to pather ghayal ker deta hai
soney jesey shakhs ko peetal ker deta hai

merey ishq main shayad koi kami hui ho
tera husan to ab bhi pagal ker deta hai

aesi lazzat kheen nhi milti ,shayad wo
apna piyar bhi cha'ey main hal ker deta hai

dil mera weeran hua to hairat kesi
hijer ka zehar to darya ko thal ker deta hai

mujh ziddi ko Rab bhi razi ker na paey
lekin teri aankh ka kajal ker deta hai

terey lams ka jadu bhi kesa jadu hai
jis ko choo ley us ko sandal ker deta hai

tera chehra her chehrey per chaa jata hai
ye manzar her manzar ojhal ker deta hai

aankh k registaan ko teri yaad ka badal
choo jaey to pal main jal thal ker deta hai