thais lagey gi armanoan ko dheerey sey

thais lagey gi armanoan ko dheerey sey
maiz pe rakhna paimanoan ko dheerey sey

un palkoan ka jhapki lena yaad rahey
band karo jab maikhanoan ko dheerey sey



yaar ki batain dard barhaey deti hain
aaj pilana deewanoan ko dheerey sey


aag sey jab tum khelo gey,jal jao gey
kaan main keh do parwanoan ko dheerey sey



jashan k aalam main tu in ko bhool na ja
galey laga ley weeranoan ko dheerey sey



besabri usshaaq ka shewa kab thehra
kerna chaak greebanoan ko dheerey sey



is mehfil k apney hain adaab Wasi
bahir ker do farzanoan ko dheerey sey

0 comments:

Post a Comment