hijer ka naag to pather ghayal ker deta hai
soney jesey shakhs ko peetal ker deta hai
merey ishq main shayad koi kami hui ho
tera husan to ab bhi pagal ker deta hai
aesi lazzat kheen nhi milti ,shayad wo
apna piyar bhi cha'ey main hal ker deta hai
dil mera weeran hua to hairat kesi
hijer ka zehar to darya ko thal ker deta hai
mujh ziddi ko Rab bhi razi ker na paey
lekin teri aankh ka kajal ker deta hai
terey lams ka jadu bhi kesa jadu hai
jis ko choo ley us ko sandal ker deta hai
tera chehra her chehrey per chaa jata hai
ye manzar her manzar ojhal ker deta hai
aankh k registaan ko teri yaad ka badal
choo jaey to pal main jal thal ker deta hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Join Us
-
Facebook
Become a fan
Search this blog
Popular Posts
-
Meri chahat tha wo meri ana bhi tha, mere khamosh lehjon ki wo ik sada bi tha, rehta tha subh-o-sham wo mere wajood main, meri awaz...
-
thais lagey gi armanoan ko dheerey sey maiz pe rakhna paimanoan ko dheerey sey un palkoan ka jhapki lena yaad rahey band karo jab maikhanoan...
-
Dil ki dharkan ko dharka gaya koi Merey khawabon ko mehka gaya koi Hum tu anjanay raston pay chal rahay Thay Achanak hi pyaar ka Mat...
-
Main jeena chahta hon, teri har saans men tere ahsas men, mahekti raat men tere jazbat men, khanakte saaz men teri aawaz men, sulagte ...
-
hi wo lamha k jab tujh sey shanasaai hui phir jo honi thi meri jaan wo ruswaai hui apni naakaam mohabbat ka na yuon churcha karo zakhm ...
-
teri har ada hamare liay ek saza hy teri muskan hamare liay ek nasha hy teri har ada py mosam badalta hy teri muskurahat py sawan bara...
-
Wo akser mjh sy kahti thi,,,, Tumhain apna banaon gi,,,, Mujhay tum sy mohabat hy,,,,, Main logon ko bataon gi,,, Wo aksr mujh sy kahti thi,...
-
Suno JANA…!! Judai mout hoti hay… Kabhi fursat mily to dakhna paton ka girna tum. Kah jab yeh shajir sy gir kar zameen pay aan part...
-
Wafa ka Sila Yehi wafa ka sila hay to koe baat nhi Ye dard tu nay dia hay to koe baat nhi Yahi bohat hay k tum dekhti ho Sahil se K...
0 comments:
Post a Comment