jahan bhar main kisi ko mera khiyaal nhi
tumharey baad yahan mera koi haal nhi
jo mar chukey hain tumhain un ki fiker hai lekin
jo mar rehey hain tumhain un ka kuch malaal nhi
mila hai jo b mila maa teri duaaon se
qasam hai is main mera zarra b kamaal nhi
mager wo aam si larki hi dhundta hai ye dil
nagar main jab k haseenoan ka koi qaal nhi
main sab zamanoan ki tareekh parh chuka hun mager
jahaan bhar main teri(sal lul la ho alai hi wassalum) aik b misaal nhi
tumharey naam pe nikley hain surkharu kerna
nhi hai taigh koi,pas koi dhaal nhi
her aik zulm sahain gey badan k jalney tak
agerchey hum main koi Hazrat_e_Bilal nhi
tumharey husan ki haibat sabhi pe taari hai
tumharey agey kisi ki koi majaal nhi
tumharey hotey her ik lamha her sadi thi meri
tumharey baad koi saal mera saal nhi
hai koi jhankney wala udaas aankhon main
ye aankhain jin k labon per koi sawaal nhi
ye kis k gham main teri aankh aaj bhar aaei
ager main pooch hi betha hun tujh se,taal nhi
her ik kamaal ko aakhir zawaal dekhna hai
hai aik ishq ka suraj jisey zawaal nhi
wo tera yaar purana hai koi baat us ki
ager buri b lagey to, usey uchaal nhi
tumharey sard raway'ye ne mushkalain hal keen
tumhain bhulaaney main,mera koi kamaal nhi
sab apni apni ana'aon ki qaid main hain Wasi
yahan kisi ko kisi ka zara khayaal nhi
0 comments:
Post a Comment